Taiba Ki Arzoo Kalaam = Haafiz Ya Rub Madinay Pak Mein Jaana Naseeb Ho Jaana Naseeb Ho Tou Na Aana Naseeb Ho Rakhdoon Dar-e-Huzoor Pe Jab Mein Jabeen-e-Shouq Choukhat Say Unke Sar Na Uthana Naseeb Ho Dar Dar Ki Thoukarein Hain Jou Mere Naseeb Mein Ishq-e-Nabi Mein Thoukarein Khaana Naseeb Ho Taiba Say Aakay Bhi Rahay Taiba Ki Aarzoo Tohfa Yehi Madinay Say Laana Naseeb Ho Haafiz Kay Dil Ki Hai Yehi Khuwahish O Iltija Qadmon Mein Mustafa Ke Thikana Naseeb Ho