La Ilaha IlAllah Kalaam = Mustafa Raza Khan La Moujooda IlAllah La Mashooda IlAllah La Maqsooda IlAllah La Ma'booda IlAllah La Ilaha IlAllah Allah Waahid O Yakta Hai Aik Khuda Buss Tanha Hai Koi Na Iska Humta Hai Aik Hee Sabki Sunta Hai La Ilaha IlAllah Mein Hoon Banda Woh Maula Kon Hai Apna Uskay Siwa Mein Hoon Uska Woh Hai Mera Jisnay Banaya Aur Paala La Ilaha IlAllah Bulbul Tooti Parwana Har Ik Uska Deewana Qumri Kiska Mastana Kon Chakoor Ka Jaanana La Ilaha IlAllah Juzz Mein Woh Hai Kul Mein Woh Rung O Boay Gul Mein Woh Afghan-e-Bulbul Mein Woh Naghmaat-e-QulQul Mein Woh La Ilaha IlAllah Maula Dil Ka Zung Churra Qalb-e-Noori Paaye Jilaan Dil Ko Karday Aaiyena Jiss Mein Chamkay Ye Kalma La Ilaha IlAllah