Kaabay Kee Rounaq Kaabay Ka Manzar Kalaam = Sabeeh Rehmani Kaabay Kee Rounaq Kaabay Ka Manzar Allaho Akbar Allaho Akbar Dekhon Tou Dekhay Jaon Barabar Allaho Akbar Allaho Akbar Hamd-e-Khuda Say Tar Hain Zubaanein Kaano Mein Russ Gholtee Hain Azaanein Buss Ik Sadaa Aarahi Hai Baraabar Allaho Akbar Allaho Akbar Teray Haram Kee Kiya Baat Maula Teray Karam Kee Kiya Baat Moula Taa Umar Karday Aana Muqaddar Allaho Akbar Allaho Akbar Maangee Hain Mein Nay Jitnee Duain Manzoor Hoongi Maqbool Hoongi Meezab-e-Rehmat Hay Meray Sar Par Allaho Akbar Allaho Akbar Yaad Agayein Jab Apni Khatayein Ashkon Mein Dhalnay Lagee Iltijayein Roya Ghilaaf-e-Ka'aba Pakkar Kar Allaho Akbar Allaho Akbar Bheja Hai Jannat Say Tujh Ko Khuda Nay Chooma Hai Tujh Ko Khud Mustafa Nay Ae Sung-e-Aswad Tera Muqqadar Allaho Akbar Allaho Akbar Maula Sabhi Aur Kiya Chahta Hai Buss Maghfirat Kee Ataa Chahta Hai Bakhshish Kay Talib Pay Apna Karam Kar Allaho Akbar Allaho Akbar