Dum Ba Dum Allah Hu Kalaam = Nisaar Ali Ujaagar Allah Hu Allah Hu Dum Ba Dum Allah Hu Har Jagah Har Ghari Har Qadam Allah Hu Lamha Lamha Basar Ho Teray Zikar Mein Zindagi Ka Safar Ho Teray Zikar Mein Bus Zubaan Naghma Gar Ho Teray Zikar Mein Dil Mein Roshan Ho Sham'ay Haram Allah Hu Har Kali Har Samar Lehlahatay Shajar Chaandni Kehkashaan Noori Shams-O-Qamar Ye Zameen Ye Falak Balkay Har Khush-O-Tar Kar Rahay Hain Sana Sub Baham Allah Hu Azmaton Rif'aton Kay Nishaan Teray Hain Ae Khuda Ye Zameen Aasmaan Teray Hain Malik-e-Do Jahaan Ins-o-Jaan Teray Hain Tou Hamara Hai Aur Teray Hum Allah Hu Goonjti Hai Sanaa Az Zameen Ta Falak Wird Jaari Tera Az Zameen Ta Falak Tal Gayi Har Bala Az Zameen Ta Falak Jab Kaha Khil Gaye Pech-o-Kham Allah Hu Iss Ki Qudrat Kiran Dar Kiran Dar Kiran Iss Ki Nakhat Chaman Dar Chaman Dar Chaman Iss Ki Midhat Pawan Dar Pawan Dar Pawan Likh Ujaagar Qalam Ba Qalam Allah Hu