Balaghal Ula Bekamalayhi Kalaam = Sheikh Sa'adi/Alahazrat Balaghal Ula Baykamalayhi Kashafadduja Bayjamaalayhi Hasunat Jame'eo Khisualayhi Sallu Alaih-e-Wa Aalayhi Woh Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hai Ke Gumaan-e-Naks Jaha Nahi Yehi Phool Khaar Se Door Hai Yehi Shama'a Hai Kay Dhuan Nahi Mein Nisaar Teray Kalaam Per Milee Youn Tou Kiss Ko Zubaan Nahi Woh Sukhan Hai Jiss Mein Sukhan Na Ho Wo Bayan Hai Jiss Ka Bayan Nahi Ba Khuda Khuda Ka Yehi Hai Dar Nahi Aur Koi Maffar Maqqar Jo Waha Say Ho Yaheen Aakay Ho Jo Yahan Nahi Tou Wahan Nahi Teray Aagay Youn Hain Dabbay Lachay Fusaha Arab Ke Barray Barray Koi Jaanay Moo Mein Zubaan Nahi Nahi Balkay Jism Mein Jaan Nahi Sar-e-Arsh Per Hai Teri Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teri Nazar Malakoot-o-Mulk Mein Koi Shay Nahi Woh Jou Tujh Pe A'ayan Nahi Karoon Teray Naam Pe Jaan Fida Na Bus Aik Jaan Do Jahaan Fida Do Jahaan Say Bhi Nahi Jee Bhara Karoon Kiya Karrorro Jahaan Nahi Karoon Madh-e-Ahle DoAl Raza Parray Iss Balaa Mein Meri Balaa Mein Gadaa Hoon Apnay Kareem Ka Mera Deen Para-e-Naa Nahi