BAARWEIN KA CHAAND AAYA Kalaam = Nisar Ali Ujagar Sana Khuwaan = Ghulam Mustafa Qadri Bacha Bacha Muskuraya Baarwein Ka Chaand Aaya Khushiyun Ka Tufaan Laya Baarwein Ka Chaand Aaya Shaadmani Ke Taranay Goonjtay Hain Deher Mein Wajd Mein Har Shakhs Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya Roshni Hee Roshni Hai Chandni Hee Chandni Zarra Zarra Jagmagaya Baarwein Ka Chaand Aaya Ho Gaye Hain Bund Saaray Zulmaton Ke Baab Aaj Deher Mein Woh Noor Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya Khil Uthein Kaliyan Muhabbat Ki Gulon Par Hai Nikhaar Baagh-e-Ulfat Lehlahaya Baarwein Ka Chaand Aaya Saaz-e-Jaan Per Baj Raha Hai Aik Naghma Baar Baar Aamina Ka Laal Aaya Baarwein Ka Chaand Aaya Shukar Karte Hee Raho Rub Ka Ujaagar Subho Shaam Rub Ka Kaisa Fazal Paaya Baarwein Ka Chaand Aaya