Aaye Shah-e-Konain Aaye Kalaam = Adeeb Raye Puri Sana Khuwaan = Muhammad Ali Soharwardi Aaye Shah-e-Konain Aaye Phel Gaye Rehmat Ke Saaye Aaye Shah-e-Konain Aaye Aaye Shah-e-Konain Aaye Bhejo Durood-O-Salaam Ke Tuhfay Naghma-e-Naat-e-Rasool Sunao Arsh-e-Bareen Se Farsh-e-Zameen Tak Khushboo Bun Kar Aaye Aaye Shah-e-Konain Aaye Sootay Bhaag Jaganay Aaye Bigray Kaam Bananay Aaye Hum Se Gunaahgaaron Ko Apnay Daaman Mein Chupanay Aaye Aaye Shah-e-Konain Aaye Har Behtar Se Behtar Woh Hai Rounaq-e-Masjid-O-Mimber Woh Hai Mehshar Mein Ummat Ke Liye Jou Wa’ada-e-Bakhshish Laye Aaye Shah-e-Konain Aaye Dil Mein Adeeb Ke Dhoom Machi Hai Jashn-e-Nabi Ki Bazm Saji Hai Aankh Zuban Aur Dil Ki Dharkan Naat-e-Rasool Sunaye Aaye Shah-e-Konain Aaye