ALLAH MERA DEHER MEIN A’ALA MAQAAM HO Kalaam = Nisar Ali Ujaagar Sana Khuwaan = Syed Furqan Qadri Allah Mera Deher Mein A’ala Maqaam Ho Sarkaar Ke Ghulamon Mein Mera Bhi Naam Ho Marnay Say Pehlay Dekh Loon Subh-e-Dayaar-e-Paak Sarkaar Haazri Ka Koi Intizaam Ho Saansein Mehekti Hoon Dam-e-Aakhir Gulab See Dard-e-Zubaan Huzoor-e-Garaami Ka Naam Ho Jiss Waqt Meri Rooh Jasad Chornay Lagay Aankhoon Ke Saamnay Mere Mah-e-Tamaam Ho Iss Masht-e-Khaak Ki Hoon Sabhi Hasratein Tamaam Mehboob Ki Gali Mein Jou Qissa Tamaam Ho Nas Nas Mein Nashaa Aisa Samaa Jaye Naat Ka Sarkaar Lab Pe Naat Mere Subh-O-Shaam Ho Seraab Tahayaat Hoon Sab Tashangaan-e-Ishq Khudaam-e-Mustafa Mein Ujaagar Kalaam Ho